Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2011

Ye kaisy faisaly hote han uper...

Barha ke pyass mari us ne hath chor diya...

Sab ke honton pe tabasum ta mere qatal ke bad...

Sub ke honton pe tabasuum ta mere qatal ke bad Jany ka soch ke rota raha qatil mera...

Agar wo poch le muj se ......

zindagi tere bagair ab...

Kash....

Muj pe cha jao kisi aag ki surat jana'n

Muj pe cha jawo kisi aag ki surat jana Aur mari zat ko suka hoa jangle kar do

Akaly...

Wafa se khali ta...

Tazad

Suno Musaafir...!! Zara Rukoo Toa.....

Suno Musaafir...!! Zara Rukoo Toa..... K Aaj Mausum Baddal Raha Hay...!! Yeh Raasty Jo Buhat Dinoo Say..!! Tumharay Qadmon Say Aashna Thay...!! Yeh Raasty Bhi Thaky Howey Hein..!! Sunoo Musaafir.....!! Zara Sa Ruk Ker..!! Kisi Ki Darkhan Ka Shour Sunn Lo..!! Kisi Ki Aankhon K Taarey Ginn Lo..!! Sunoo Musaafir...!! Safer Kabhi Bhi...!! Kisi Ko Bhi Saath Lay Ker...!! Chaltey Nahe Rahey Hein..!! Har Eik Ko Manzil Bhi Kab Hay Milti....??? Yea Manzalein Toa Kisi Kis Ka Naseeb Tehrein...!! Sunoo Musaafir............................... ........ ... Bhatak Bhatak Ker... Tarrap Tarrap Ke....!! Sissak Sissak K.... Dehak Dehak K..........!! Kisi Kay Jazbaat Soo Na Jayein....!! Sunoo Musaafir............ ............ ..... .. Zara Sa Ruk Ker........!! Kisi Ki Darkan Ka Shour Sunn Lo..!!

Hawis aur Muhabbat.......!!

Hawis aur Muhabbat.......!! Kaha mainay janan, Yeh sub kuch baja hay, Hamaray ta’luk k her rastay mein BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hay!! Hawis aur Muhabbat ka lehja hay yaksaan, K donu teraf say badan bolta hay, Bazahir zaman-o-Makan kay safar mein Badan Ibtida hay, Badan Intiha hay! Mager iskay hutay………. sabhi kuch k hotay, Kahein beech mein wu ju ek fasla hay, Woh Kia Hay??? Meri Jaan, daikhoo Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein Sari kahani ka asli sira hay Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hay, aur is say agay Muhabbat mein ju kuch hay usko samajna Badan kay tasawur say he ma’wara hay Yeh ek kay’fiyat hay Jisay naam daina tu mumkin nahi Samajhnay ki khatir bus itna samajh lo Zameen Zadgaan kay mukaddar ka jub faisla hu gaya Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir, Her ek zaat ko ek ta’la milla tha Wu makhsoos ta’la, ju ek khas number pay khulta hay lakin Kisi aur number say milta nahi hay Mujhay aur tujhay bhee yeh ta’lay milay thay Mager farq itna hay ka

Kuch nahi chahaye tuj se ay mere umer e rawan

Ek jeel hay ankhon me jo abad buht hay....

Suno Ay Chaand Say Saathi

Suno Ay Chaand Say Saathi  Abhi Tum Keh Rahay Thay Na Tumhay Mujh Say Mohabbat Ho Nahi Sakti  Chalo Mana Keh Ye Sach Hay  Mager Ay Chaand Say Saathi Mujhay Itna Batao Tum  Keh Jab Mousam Badaltay Hain  Gulon Main Rang Bhartay Hain  Tu Phir Kyun Muztarib Ho Kar  Akelay Pan Say Ghabra Kar Hawa Ko RAAZ Detay Ho  Mujhay AAWAZ Detay Ho Suno Ay Chaand Say Saathi    Tumharay Samnay Koii Mera Jab Naam Laita Hay  Tu Phir Kyun Chonk Jatay Ho  Chalo Maana Tumhay Mujh Say Mohabbat Ho Nahi Sakti  Mager Itna Samaj Lo Tum  Jaha Chahat Nahi Hoti 

MERE SAATH "TUM TO WAFA KARO".

LO SAMAIT LO MERI KIRCHIAN MERAY HAQ MEIN KOI DUA KARO MUJHAY MANZILON KI TALAASH HAI MERAY SAATH TUM BHI CHALA KARO MUJHAY ZINDAGI SE MILA HI KIA? MUJHAY ZINDAGI NE DIYA HI KIA? DAR-O-BAAM SAB HI UJAR GAEY MERE SAATH "TUM TO WAFA KARO".

SITARY BANT'TA HAI WOH,ZIYA TAQSEEM KARTA HAI

SITARY BANT'TA HAI WOH,ZIYA TAQSEEM KARTA HAI SUNA HAI HABS MAUSAM MEIN HAWA TAQSEEM KARTA HAI USI KI APNI BETI KI HATHELI KHUSHK REHTI HAI JO BORHA DHOOP MEIN DIN BHAR HINA TAQSEEM KARTA HAI KOI ROKY USAY JA KAR SRA-SAR HAI YE PAGAL PAN JO BEHRON K MUHALLY MEIN SADA TAQSEEM KARTA HAI USI SE MAANG TU MOHSIN BAAQI CHOR DY SUB KO JO PATHAR MEIN BHI KEERAY KO GHIZA TAQSEEM KARTA HAI

Bichrna chahta hai pr juda hony sy darta hai

Bichrna chahta hai pr juda hony sy darta hai Woh meri qaid main reh kr Raha hony sy darta hai Gali k morr tak woh Dekhta rehta hai chup chup kr Palat kr dekh lon tu Samny hony sy darta hai Woh khud tanhai main likhta hai Mera naam hathoon pr Magar jab Ru-ba-ru aye tu Mera hony sy darta hai

Mohabbat zat hote hay...

Mohabbat Zaat Hoti Hai Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai Koi Jungle Mai Jaa Thehrey Kisi Basti Mai Bas Jaye Mohabbat Saath Hoti Hai Mohabbat Khushbooun Ki Ley Mohabbat Mosamon Ka Dhan Mohabbat Aabshaaron Ke Nikharte Paaniyon Ka Mann Mohabbat Jungalon Mai Raqs Karti Morni Ka Tan Mohabbat Barf Parti Sardiyon Mai Dhoop Banti Hai Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Mai Thandi  Chaaon Ki Manind Mohabbat Ajnabi Duniya Mai Apne Gaon Ki Manind Mohabbat Dil Mohabbat Jaan Mohabbat Rooh Ka Darmaan Mohabbat Moorti Hai Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mai Kahin Per Toot Jaye To Mohabbat Kaanch Ki Guriya Fizaaon Mai Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jaye To Mohabbat Aabla Hai Karb Ka Aur Phoot Jaye To Mohabbat Rogg Hoti Hai Mohabbat Sogg Hoti Hai Mohabbat Shaam Hoti Hai Mohabbat Raat Hoti Hai Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti Hai Mohabbat Nend Ki Rut Mai Haseen Khuwabon Ke Raston Par Sulagtey, Jaan Ko Aate, Rat'jagon Ki Ghaat Hoti Hai Mohabbat Jeet Hoti Hai Mohabbat Maat Hoti Hai Mohabbat Zaat Hot

Muj ko ye arzo wo utaye naqab khud...

Wo pathar dil sahi lakin hamara bhi ye dawa hay

Wo pattar dil sahi lakin hamara bhi ye dawa hay Hamary lub jinhay chu lan wo pattar bol uttay han

Mari Eid

Har sham tari yadd me jalta hua daikon...

Ahmad faraz ki akhri ghazal

Rona kis ko kehte han....

Mohabbatain jub shumar karna to sazishain bhi shumar karna

tari har ada mohabbat se lagte hay

Barishon ko.....

Agar wo poch le hum se tmhay kis bat ka ghum hay

Suno Acha Nahi Lagta Kay Koi Doosra Daikhay

Suno Acha Nahi Lagta Kay Koi Doosra Daikhay Suno Acha Nahi Lagta Kay Koi Doosra Daikhay Tumhari Sharbati Aankhain Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain Siyah Lambi Ghanee Zulfain Saharay Doosra Koi Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Karay Jab Tazkara Koi Karay Jab Tabsara Koi Tumhari Zaat Ko Khoojay Tumhari Baat Ko Soochay Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Tumhari Muskurahat Per Hazaroon Loag Martay Hoon Tumhari Aik Aahat Par  Hazaroon Dil Dharaktay Hoon Kise Ka Tum Pe Yuun Marna Mujhay Acha Nahi Lagta   Suno Acha Nahi Lagta Hawa Guzray Tumhain Choo Kar Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay Karayy Koi Tumsay Gustakhi Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain Tumharay Lams Pi Ja-ain Mujhay Acha Nahi Lagta Suno Acha Nahi Lagta Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain Tumharay Paas Say Mehkain Ya Chanda Ki Guzarish Hoo Kay Apni Roshni Bakhshoon Rukh-e-Jana Koi Daikhay Mujhay Acha Nahi Lagta

Wo kaisy log te ya rub jinhon ne pa liya tuj ko

Wo kaisy log te ya rub jinhon ne pa liya tuj ko Hamay to hogaya dushywar ek insan ka milna

Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa

Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa  Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Me  Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa  Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski  Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa   Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Me  Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa   Tewar The Berukhi K Andaaz Dosti Ka  Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa   Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye  Kuchh Zeher Me Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa   Phir Yun Hua K Sawan Akhon Me Aa Base The  Phir Yun Hua K Jese Dil Bhi Tha Aablaa Sa   Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi  Ban Jayega Qayamat Ek Waqiya Zara Sa.

Tishnagi roz mulaqaat mein reh jaati hai

Tishnagi roz mulaqaat mein reh jaati hai Meri ek baat kahin baat mein reh jaati hai Chand aankhon se guzarta hai,  guzar jaata hai  Chandni dil ke muzafaat mein reh jaati hai  Khwaab mein haath milaa kar woh chala jaata hai Aur phir ek dhanak haath mein reh jaati hai   Uss ka chehra tho nikal jaaye meri sochon se  Roshni mere khayalaat mein reh jaati hai   Jab woh ra'anai se uth jaaye mere pehloo se  Ek tanhaai meri zaat mein reh jaati hai