Hawis aur Muhabbat.......!! Kaha mainay janan, Yeh sub kuch baja hay, Hamaray ta’luk k her rastay mein BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hay!! Hawis aur Muhabbat ka lehja hay yaksaan, K donu teraf say badan bolta hay, Bazahir zaman-o-Makan kay safar mein Badan Ibtida hay, Badan Intiha hay! Mager iskay hutay………. sabhi kuch k hotay, Kahein beech mein wu ju ek fasla hay, Woh Kia Hay??? Meri Jaan, daikhoo Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein Sari kahani ka asli sira hay Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hay, aur is say agay Muhabbat mein ju kuch hay usko samajna Badan kay tasawur say he ma’wara hay Yeh ek kay’fiyat hay Jisay naam daina tu mumkin nahi Samajhnay ki khatir bus itna samajh lo Zameen Zadgaan kay mukaddar ka jub faisla hu gaya Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir, Her ek zaat ko ek ta’la milla tha Wu makhsoos ta’la, ju ek khas number pay khulta hay lakin Kisi aur number say milta nahi hay Mujhay aur tujhay bhee yeh ta’lay milay thay Mager farq itna hay ka...