Skip to main content

Kyon Abar Se Jalta Hai Ke Sehra To Nahi Woh

Kyon Abar Se Jalta Hai Ke Sehra To Nahi Woh
Piyaasa Bhi Kabhi Hoga Ke Dari’yaa To Nahi Woh

Aavaaz Bhi Dena Ke Wo Shaayad Palat Ke Aa’ey
Mohtaat Bhi Rehna Ke Shana’sa To Nahi Woh

Her Ik Se Shanaasa’ee Ka Ilzaam Bhi Dena
Phir Sochtay Rehna Bhi Ke Aisa To Nahi Woh

Her Ik Ravish Us Ke Lab-O-Rukh Se Ferozaa’n
Kiyon Aa’ina Dekhay Gha Ke Tanha To Nahi Woh

Utray Hain Un Aankhon Main To Ab Tak Nahi Lotay
Kuch Log Samajtay Thay Ke Gehra To Nahi Woh

Nikli Hoon Usay Tornay Khud Apni Zid’oon Se
Halaan Ke Samjhti Hoon Ke Sheesha To Nahi Woh

Kiya Us Se Chhupaa’oon Ke Nahi Gair Bhi Itna
Kiya Us Ko Bata’oon Mera Apna To Nahi Woh

Comments

Popular posts from this blog

Talkhiyan By Sahir Ludhianvi

lateefay