Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per,
K be bunyad batain hain,
Sabhi rishtay sabhi naatey,
Zarurat ki hain Ejaaden,
Kahin koi nahi marta kisi k wastay jaana,
K sub hai phair lafzon ka,
Hai saara khel harfon ka,
Na hai mehbob koi bhi,
Mohabbat na zmaney main,
Pra'ey bhi hain phir apney,
Agr hai kuch khzaney main,
K is jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,
Chalo kuch dair hanstay hain...
Usi ko yad krtay hain,
Jisay hum zeest kehtey thay,
K lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,
K sung jis k her ek lamha khush-o-khurm lagta tha,
Jisay hum zindgi kehtey,
Jisay thay sha'iry kehtey,
Ghazal ka Qafiya tha jo,
Nazm ka jo k unwan tha,
Wo lehja jb bdalta tha qyamat khez lagta tha,
Waqt say agay chalta tha,
Bla ka tez lagta tha,
Jo saya bun k rahta tha,
Juda ab is k rastay hain....
Chalo kuch dair hanstay hain..
Chalo kuch dair hanstay hain...
Comments
Post a Comment