zindagi se Darte ho
zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bi hain
aadami se Darte ho
aadami to tum bhi ho aadami to ham bhi hain
aadami zuban bhi hai, aadami bayaan bhi hai
is se tum nahin Darte
harf aur mani ke rishte haye aahan se aadami hai vaabasta
aadami ke daaman se zindagi hai vaabastaa
is se tum nahin Darte
ankahi se Darte ho
jo abhi ai nahin us ghadi se Darte ho
us ghadi ke aane ki aaghi se Darte ho
pahale bhi to guzare hain
daur naarasaai ke, beriyaa, Khudaai ke
phir bhii ye samajhate ho, hech aazaruumandi
ye shab zubaanbandii, hai rahe Khudaabandii
tum yahii samajhate ho, tum magar ye kyaa jaano
lab agar nahin hilate haath jaag uThate hain
haath jaag uThate hain raah kaa nishaan ban kar
nur ki zubaan ban kar
haath bol uThate hain subah ki azaan ban kar
roshani se Darte ho
roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain
roshani se Darte ho
shahar ki fasilon par
dev kaa jo saayaa thaa, paak ho gayaa aaKhir
az_dahaam-e-afsaaN se fard kii navaa aai
zaat ki sadaa aai
raah-e-shauq men jaise raah_ravii Khun lapke
ik nayaa junuun lapke
aadamii chhalak uThe
aadamii ha.Nse dekho, shahar phir base dekho
tum abhii se Darate ho
haaN abhii to tum bhii ho, haaN abhii to ham bhii hai.n

Comments
Post a Comment