INTIZAR KERNAY WALAY intikhab"ashfaq ahmad kii safer der safer say" main nay intizar kernay walon ko dekha.intizar kertay kertay so janay walon ko bhii aur mer janay walon ko bhii.main nay muztarib nigahon aur be-chain badanon ko dekha hay.aahat per lagay huey kaanon k zakhmon ko dekha hay.intizar mein kaanptay huey haathon ko dekha hay.muntazir aadmii k 2 wujood hotay hain.ek wo jo jaga -e-muqarrera per intizar kerta hay, doosra wo jo jasd-e-khaakii say juda hoker pazeeraaee k liyey bohat duur nikal jata hay. jab intizar kii gheryaan dinon,maheenon,aur saalon per phail jatii hain to kabhi kabhii doosra wujood wapis nahein aata aur intizar kernay walay ka wujood uss khalii dabbay kii tarah reh jata hay, jisay log khoobsoorat samajh ker sent k rakh letay hain aur kabhii apnay dermiyaan say juda nahein kertay.ye khaalii dabba kaee baar bherta hay.qisam qisam kii cheezein apnay ander samet,taa hay lekinn uiss mein "wo"laut ker nahein aata, jo pazeeraee...