Skip to main content

Azaab Apnay......

Azaab Apnay.
bichartay lamhon ki
jald baaz rut main

jab usk honton ki narm chaoon
mujhay judai ki dhoop de kr
hawaas ki unglion se
daman churaa rahi thi

tamam rasmon
tamam qasmon
ki jalti shammain
bujhaa rahi thi

main uski aankhon main
chor aaya tha khawab apnay
wo khawab jinki tamazaton main

"tamam sach tha"

wo khawab takmeel e arzoo ki nishanian thay
wo khawab meri wafa ki ujli kahanian thay


main sochta hun

k ab kabhi chandni main bheegi hui hawain
jab uski aankhon se
neend ka kuch khumaar' uskey badan ki khushboo se choor
koi peyaam lain

to main bhi mangon hisaab apnay
main uski aankhon se muskura kr talab krun
phir se khawab apnay


main usko bheejon azaab apnay..!

Comments

Popular posts from this blog

Talkhiyan By Sahir Ludhianvi

lateefay