Skip to main content

Aurat..

Aurat Kitna chota sa lafz likin is ki gehrayi sumender se b ziada Gehri , paharon se b buland aur socha jaye tu is eik lafz main kitni meethas kitni khoobsurati hai jo mehsoos ki ja sakti hai . dekhi ja sakti hai , payi ja sakti hai . 
Aurat Mard k baghair jis tarah na'mukamal hai usi tarah mard b Aurat k baghair na'mukamil hai .
Mard Ko Allah Subhan wa Ta'Ala ney mitti se banaya be'jaan mitti se jab k Aurat ko ''mujhey'' Mard ki pasli se Jana , aur kitni ajeeb baat hai na Aurat Ko Allah Pak ney aesi cheez se banaya jis ko Allah Pak ney Ilm ata kiya Farishton se sajda kerwaya . Itni qeemti cheez se aur mard ko be'ronaq sookhi mitti se .
Aur Phir Allah Pak ney ''Aurat '' main Muhabbat ka khameer dhala jo k Allah Pak ki sifaat main se hai Kitni khus'naseeb hon na main aik Aurat hon jis ko Muhabbat se ghoonda geya hai .
Aurat k kayi roop hain ''Beti'' banti hai tu Waleydain k sukh chain ka khayal rakhti hai , Behan banti hai tu apney bhaiyon ki rahat ka saman banti hai , Biwi banti hai tu apni poori sadaqton wa muhabataon k sath apney shoahar ki ghar'hesti sanbhalti hai apna aap luta deti hai Eisaar o Qurbani ka Pekar Aurat .

Aur eik Roop Hai ''Aurat ka Bohat khoobsurat Bohat Pyara aur eik lafz main itni meethas itna pyar itni muhabbat jhalakti hai k bar bar us ko boltey rehney ka dil kerta hai aur woh lafz hai ''Maan'' pyari Maan '' jisey ada kertey howey dono hont fart'e muhabbat se eik dosrey ko choom letey hain , bachey k liye khoobsurat aur aur mazboot tareen panah'gha Maan ka dil hai . Yeh woh mubarak aur pyari hasti hai Jis ney Anbiya o Auliya ko janam diya hai aur tumam barkatein rehmatein isi k dam se hain .

Behtareen tarbiyat se Maan ''Aulad k kirdar ko aesa heera bana deti hai k woh kisi b pathar ko kaat sakta hai koi b manzil ko ba'khair o khoobi paa sakta hai .

Garz Aurat ki hasti eik aesi zaat hai jo khud tu tapti dhoop main jhulas jati hai laikin Apney se jhurhy apney payaron k liye shajar ban jati hai ...!

Comments

Popular posts from this blog

Talkhiyan By Sahir Ludhianvi

lateefay