Skip to main content

INTIZAR KERNAY WALAY

INTIZAR KERNAY WALAY
intikhab"ashfaq ahmad kii safer der safer say"

main nay intizar kernay walon ko dekha.intizar kertay kertay so janay walon ko bhii aur mer janay walon ko bhii.main

nay muztarib nigahon aur be-chain badanon ko dekha hay.aahat per lagay huey kaanon k zakhmon ko dekha hay.intizar

mein kaanptay huey haathon ko dekha hay.muntazir aadmii k 2 wujood hotay hain.ek wo jo jaga -e-muqarrera per

intizar kerta hay, doosra wo jo jasd-e-khaakii say juda hoker pazeeraaee k liyey bohat duur nikal jata hay. jab

intizar kii gheryaan dinon,maheenon,aur saalon per phail jatii hain to kabhi kabhii doosra wujood wapis nahein aata aur

intizar kernay walay ka wujood uss khalii dabbay kii tarah reh jata hay, jisay log khoobsoorat samajh ker sent k

rakh letay hain aur kabhii apnay dermiyaan say juda nahein kertay.ye khaalii dabba kaee baar bherta hay.qisam qisam

kii cheezein apnay ander samet,taa hay lekinn uiss mein "wo"laut ker nahein aata, jo pazeeraee k liyey aagay nikal

gaya thaa.esay log baray mut,ma,inn aur pooray shanat ho jatay hain.inn mut,ma,inn, purr-sukoon aur shant logon kii

personality per bara charm hota hay aur inhein apnii baaqi-maanda zindagii isii charm k saharay guzarnii pertii

hay.yehii charm aapko soofiyaa kii shakhsiyyaton mein nazer aaeyga.yehii charm umr-qediyon k chehray per dikhaee

dega aur isii chrm kii jhalak aapko umr-raseeda professeron kii aankhon mein nazer aeyga.

Comments

Popular posts from this blog

Talkhiyan By Sahir Ludhianvi

lateefay