Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2011

Koe pattar koe gohor keaue hay

Koe pattar koe gohor keaue hay farq logon me es qadar keaue hay ye bhi kaisa azab de dala Hay mohabbat to es qadar keaue hay..... 

Liya tha aik wada tumne mujse....

Liya tha aik wada tumne mujse.... Hamesha khush hi rehna hai... To dekho, dekh lo aa kar.. Meri ankhon ko dekho tum, Yeh kitni shokh lagti hain... Mere honton ko dekho tum, Hamesha muskuraty hain... Koi b ghum agar aye, Usay hans kar saha main ne... Mere chehray ko dekho tum, Hamesha pur sakoon ho ga... To socho gey..... Kia tha main ne jo tumse, Wo wada ker diya poora...!!! MAGAR Ik baat hai piyare... Kabhi jo waqat mil jaye, To meri shairi parhna... Tumhain mehsoos to hoga, Kaheen talkhi bhara jumla... Kaheen yeh sard sa lehja, Kaheen par dard ki jheelain... Kahin lehjay ki karwahat, Suno......!! ! Main khush to hoon lakin, Lahoo har lafz roota hai...

Kyon Abar Se Jalta Hai Ke Sehra To Nahi Woh

Kyon Abar Se Jalta Hai Ke Sehra To Nahi Woh Piyaasa Bhi Kabhi Hoga Ke Dari’yaa To Nahi Woh Aavaaz Bhi Dena Ke Wo Shaayad Palat Ke Aa’ey Mohtaat Bhi Rehna Ke Shana’sa To Nahi Woh Her Ik Se Shanaasa’ee Ka Ilzaam Bhi Dena Phir Sochtay Rehna Bhi Ke Aisa To Nahi Woh Her Ik Ravish Us Ke Lab-O-Rukh Se Ferozaa’n Kiyon Aa’ina Dekhay Gha Ke Tanha To Nahi Woh Utray Hain Un Aankhon Main To Ab Tak Nahi Lotay Kuch Log Samajtay Thay Ke Gehra To Nahi Woh Nikli Hoon Usay Tornay Khud Apni Zid’oon Se Halaan Ke Samjhti Hoon Ke Sheesha To Nahi Woh Kiya Us Se Chhupaa’oon Ke Nahi Gair Bhi Itna Kiya Us Ko Bata’oon Mera Apna To Nahi Woh

jo chal sakoo to esi chaal chal jana

jo chal sakoo to esi chaal chal jana mujhy guman bhe na ho or tum badal jana abhi abhi to judai ki sham aee the humien ajeeb laga zindage ka dhal jana

Haseen yaadon me khoya tha bicharne se zara pehle

Haseen yaadon me khoya tha bicharne se zara pehle Bara khush feham soya tha bicharne se zara pehle Wo jis ka hath tk choone ko be adbi samajte the Gale se lag k roya tha bicharne se zara pehle Use maloom tha shaid judai he mukaddar me Wo kin sochon me khoya tha bicharne se zara pehle Hamara pyar us lamhe bulandi pe wafa ki tha Koi b gham na goya tha bicharne se zara pehle Hamare pyar k gulshan me jane ks ne aa kr k Gham'mon ka beej boya tha bicharne se zara pehle Wo js ko dekh lene se bari khush sada rehti thi Bohat hi aaj roya tha bicharne se zara pehle

Sardiyon ki shamein bhi kia ajab shamein hain

Sardiyon ki shamein bhi kia ajab shamein hain, Log yaad atay hain aag si lagaty hain, Dil k her ik koney main zindgi k manzer main, Doob k ubherty hain ik dafa jo bichary thy, Roz roz milty hain or mairi ankhon ko, De k kuch naye motti phir se lot jaty hain, Phir hum akailey main aansuon k railey main, Sardiyon ki thandak main tanha apny shaney pe, Apni shaal sambhaly ghar ko lot atay hain, Sardiyon ki shamein Bhi kia ajab shamein hain.

Dar-e-kafs se parey Jab saba guzarti hai

Dar-e-kafs se parey Jab saba guzarti hai Kisey khabar keh Aaseero'n pe kya guzarti hai Ta'aolokat kabi es Qadar na tootay they Keh Teri Yaad bhe, Dil se khafa guzarti hai Wo Ab miley be to milta hai es trah Jaisey Bujhay Charraagh ko choo ker Hawa guzarti hai Faqeer kab ke gaye Jangalo'n ki simat mgr Gali se Aaj bhe Un ki sada guzarti hai Ye Ehl-e-Hijer ki Basti hai Ehtiyyat se chal Museebato'n ki yahan inteha guzarti hai...!!

Apne hathon ki lakeron se mita don tuj ko

Apne hathon ki lakeron se mita don tuj ko Kaise mumkin hay k main aise dagha don tujh ko, Sochta ho main kisi tor bhula don tuj ko Apni yaadon se kisi roz mita don tuj ko, Tu na mil paye mujhe aisi Dua don tuj ko Hosla hota nahin dagh e wafa don tuj ko, Mere daman mein andheron k siva kuch bhi nahi Yeh kisi roz kisi roz bata don tuj ko, Aag si lagti hay senay mein shab o roz Khalish Yeh na ho khud bhi jalon aur jala don tuj ko..

ajab ghari thi kitab keecher mein gir pari thi

ajab ghari thi kitab keecher mein gir pari thi chamakte lafzoon ki meli ankhoon mein uljhey ansoon bula rahe the magar mujhe hosh hi kahaan tha nazar mein ik or hi jahaan tha naye naye manzaroon ki khuahish mein apne manzar se kat gaya hoon naye naye dayaroon ki gardish mein apne mehvar se hat gaya hoon sila, jaza, khouf, naumeedi, umeed, imkaan, beyakini, hazar khano me but gaya hoon ab is se pehle k raat apni kamand dale ye chahta hoon k lout jaoon ajab nahi wo kitab ab bhi wahein pari ho ajab nahi aaj bhi meri rah dekhti ho chamakte lafzoon ki meli ankhoon me uljhe ansoon hawa o hirs o havas ki sub gard saaf kardein ajab nahi mere lafz mujh ko maaf kardein ajab ghari thi kitab keecher mein gir pari thi ...

Abhi to mout se pehley hazaroon baar marna hai

Abhi to mout se pehley hazaroon baar marna hai abhi se thkk gye ho tum abhi to jaan baki hai dil o jan ki hadoon se bhi kahin aagy, bohat aagy meri bay antt chahat ko khiaal o khawab hona hai mujhy maloom hai mujh ko bohat barbaad hona hai

Main k alfaz ko Rangoon k haseen peraey main Dhalne wala

Main k alfaz ko Rangoon k haseen peraey main Dhalne wala Harfoon se ham waqt kheelne wala Takhleek ki sansoon ko Rangeen sarapoon main ujalne Aur samone wala Khud ko jumloon ki har baze main Haruf se mazmoon karne wala Us se izhaar ka ek lafz Faqat......ek anmool sa lafz Dohundhtey Dohundhtey Usey kho bathaa

Yaad-e-maazi main jo ankhon ko saza di jaye

Yaad-e-maazi main jo ankhon ko saza di jaye is say behtar hai k har bat bhula di jye jis sy thori si bhi umeed zyda ho kabhi aisi har shama sar-e-sham jala di jaaey main nay apnon k rawayyon say ye mehsoos kya dill k angan main bhi diwar utha di jaye main nay yaron k bicharnay say ye seekha "Mohsin" apny dushman ko bhi jeny ki dua di jaye..

Yeh barishain bhi tum si hain.....

Kabhi shor hain Kabhi chup c hain   Yeh barishain b tum c hain jo baras gain to bahar hain Jo thaher gain to qarar hain Kbhi aa gai yunhi besabab Kbhi chaa gain yunhi to roz o shab Kabhi shor hain Kabhi chup c hain Yeh barishain bhi tum si hain.....

Ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko

Ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko Bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko Tumhi ho jo rashni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho Jab apni aankhain hi keh dya hai tou phir bhala kyun rulain tum ko Tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi Kaha na tha tum say waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko Tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna Meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko Ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain Kahan peh jaa k basay huye ho kahan se hum dhoond lain tum ko Tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain Magr batao k hum jo chahain tou kis tarah se bhulaain tum ko Tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai Anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko Kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai Abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko

Wo guman guman sa,qiyaas sa

  Wo guman guman sa,qiyaas sa Kabhi door sa,kabhi pass sa Kabhi chandni main chupa huwa kabhi khushbu'on main basa howa Kabhi sirf us ki shabahtein Kabhi sirf us ki hikayatein Kabhi sirf milne ke silsile Kabhi sirf us se hain faasle Kabhi door chalti hawaon main Kabhi meenh barsati ghataon main Kabhi bad guman,kabhi meherban Kabhi dhoop hai,kabhi saiban Kabhi band dil ki kitaab main Kabhi lab kusha wo khawab main Kabhi youn ke jaise sawal ho Kabhi youn ke jaise khiyal ho Kabhi dekhne ke hain silsile Kabhi sochne ke hain merhale Kabhi sirf rung-e-bahar sa Kabhi sirf ek ghubar sa Kabhi dastars ke qareeb qareeb Kabhi door pass kahin nahi Ye jo ukhra ukhra sa shakhs hai Ye jo bikhra bikhra sa shakhs hai.

Wo Mehekti Palkon Ki Oat Se Koi Taara Chamka Tha Raat Main

  Wo Mehekti Palkon Ki Oat Se Koi Taara Chamka Tha Raat Main Meri Band Muthi Na Kholiye Wohi Koh-e-Noor Hai Haath Main Main Tamaam Tarey Utha Utha Ke Ghareeb Logo'n Main Baant Doon Kabhi Ek Raat Wo Aasmaan Ka Nizaam Dain Mere Haath Main Abhi Shaam Tak Mere Baagh Main Kaheen Koi Phool Khila Na Tha Mujhe Khushbu'on Main Basa Gaya Tera Pyar Ek Hi Raat Main Tere Saath Itney Buhat Se Din To Palak Jhapaktay Guzar Gaye Hui Shaam Khel Hi Khel Main Kati Raat Baat Hi Baat Main Koi Ishq Hai Ke Akela Reit Ki Shaal Oarh Ke Chal Diya Kabhi Baal Bachon Ke Saath Aa, Ye Parao Lagta Hai Raat Main Kabhi Saat Rangon Ka Phool Hoon ,Kabhi Dhoop Hoon, Kabhi Dhool Hoon Main Tamaan Kapray Badal Chuka Tere Mausamon Ki Baraat Main

Abi waqt hai mjy chor ja...

  ABI WAQT HA MJY CHOR JA abi maslehat ka muqaam ha abi qaflon ka qayam ha abi dastaras mein ha zindagi abi chashmay num mein ha roshni abi naqshe pak-o-sabat ha abi kuch he dair ki bat ha abi waqt ha mjy chor jaa abi gard rah sy urri nahi abi kircheyon mein baata nahi abi har nazara haseen ha abi sub-noo ka yaqeen ha abi hum kinary pe hein khary abi waqt ha mjy chor jaa ye safar nai azaab ha yahan har qadam pe saraab ha yahan bad'ghumani ka raj ha yahan bewafai riwaaj ha abi hosh khony k din nahe abi teray ronay k din nahe abi waqt ha mjy chor jaa abi sari nagri and'dhair ha abi din nikalny mein dair ha abi behr-e-ishq mein na utar abi sara shehar ha bekhaber ABI WAQT HA MJY CHOR JAA

Suno! Main thak gaya hoon

Suno! Main thak gaya hoon Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain Meri neendoon main tairay wasl ka raisham ulajhta hai Mairay ansoo mairay chehray pe tairay ghamm ko likhtay hain Mairay ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain Mager main thak gaya hoon Aur main ne khamashi ki goad main sir rakh dia hai Main baloon main Tumharay hijr ki narm ungliyan mehsoos kerta hoon Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat Tumharay wasl ka raisham bhi ab neendain nahin bunta Mairi aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basaira hai Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai Suno! Iss yaad se keh do Mujhay kuch dair sonay de...!!!

Kaheen bekanar se rutjagy kaheen zarnegar se khwab de...

 کہیں بے کنار سے رتجگے، کہیں زرنگار سے خواب دے!   ترا کیا اصول ہے زندگی؟ مجھے کون اس کا حساب دے! جو بچھا سکوں ترے واسطے، جو سجا سکیں ترے راستے مری دسترس میں ستارے رکھ، مری مٹھیوں کو گلاب دے یہ جو خواہشوں کا پرند ہے، اسے موسموں سے غرض نہیں یہ اڑے گا اپنی ہی موج میں، اسے آب دے کہ سراب دے! تجھے چھو لیا تو بھڑک اٹھے مرے جسم و جاں میں چراغ سے اسی آگ میں مجھے راکھ کر، اسی شعلگی کو شباب دے کبھی یوں بھی ہو ترے رو برو، میں نظر ملا کے یہ کہہ سکوں "مری حسرتوں کو شمارکر، مری خواہشوں کا حساب دے!" تری اک نگاہ کے فیض سے، مری کشتِ حرف چمک اٹھے مرا لفظ لفظ ہو کہکشاں، مجھے ایک ایسی کتاب دے

" Tmhe maaloom hey Jaana!

" Tmhe maaloom hey Jaana! Key tm bhi ek Qaatil ho Mere ander ka ek hansta hua Insaan Tum ne Maar dala hey... " ..

Aise Matt Jaya Kero

  Aise Matt Jaya Kero, K Tum Tu Chalay Jaatey Ho, Per Jise Peechay Chor Jaatey Ho Usse Tu Sahi Se Bicharna Bhi Nahi Aata....

Ab mai buhat Akela reh gya hoon...

Mai ne ik baar Kaha tha Tmhare Jaane k Baad me buhat Akela reh jaon ga Yakeen jaano Ab mai buhat Akela reh gya hoon...

Sadion ka karb seeney me chupaye

Sadion ka karb seeney me chupaye sard maujon ka haath thaame samander... saahil se lipat kar ro raha tha aur door khari wo larki apney saathi se keh rahi thi dekho to ye manzar kitna pyara hai!

Jo lehron se aage nazar dekh paati

    Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon, Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon. Zidd ka tumhare jo parda sarakta toh khirkiyon se aage bhi tum dekh paate, Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

Abhi rona hai zabt-e-ghum ka darya paar karna hai

Abhi rona hai zabt-e-ghum ka darya paar karna hai abi to zehn ko teri judaee k liye tayyar karna hai abhi to akhri lamho'n mein tum ko pyar karna hai abhi to qarya qarya hum ko tere pyar mein badnaam hona hai abhi yeh kaam hona hai lab-e-sahil kharey ho kar zuban-e-khamshi mein janey kitni bate'n karni hain tumhare naam sari rate'n karni hai wo jitney din mere jeewan k baqi hain tumharey naam karney hain abhi kuch kaam karney hain abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke'n ge abhi to you'n bhi hona hai k teri jheel si ankho'n mein mujh ko doob jana hai abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko ankho'n mein basana hai abhi to hijr k samjhotey teh honey hain hatho'n mein tumhara haath thamey haa'n kisi weera'n sarak pe chandni raato'n mein kitni door jana hai abhi to mann mein ik ehsas jagey ga kisi k paas aney ka kisi k door janey ka abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai abhi to you'n bhi hona hai tere daman pe girney se zara peh...

Ashk ankhon me kab nahi ata..

Ashk ankhon mai kab nahi ata Lahu ata hay jub nahi ata....

Buht khamosh batti ho....

بہت خاموش بیٹھی ہو بتاؤ کیا ہوا تم کو نمی سی کیوں ہے آنکھوں میں زرا سی بات کیوں اب یہ آنکھیں بیگھ جاتی ھیں ھمیں معلوم ہےتم کو بہت برسات بھاتی ہے سنو برسات آنکھوں میں مگر اچھی نہیں لگتی

Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main

Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main lekin ye s0chta hun k ab tera kya hun maiN Bikhra para hai tere hi ghAr mein tera wajud bekAr mahfil0n mein tujhe Dhundta hun main main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf Apne   badan ki qabr mein kabSe gara hun maiN kis-kiSka nam laun Zaban par k tere sath har r0z ek shakhs naya dekhta hun main Na jane kiis Ada se liya tune mera nAam duNiya samajh rahi hai k sab kuch tera hun maiN le mere tajurbon se sabak ae mere raqiib do chAr saAl Umr mein tujhse bara hun main jaga Hua zamiir wo Aiina hai "Qateel" S0ne se pahale rOz jiise dekhta hun maiN

Kaho To Laut Jate Hain

Kaho To Laut Jate Hain Abhi To Baat Lamhon Tak He, Salon Tak Nahi Aai Abhi Muskanon Ki Nobat Bhi Nalon Tak Nahi Aai Abhi To Koi Majborri Khiyalon Tak Nahi Aai Abhi To Gard Peron Tak He. Balon Tak Nahi Aai Kaho To Laut Jate Hain Chalo Ek Faisla K7arne Shajar Ki Aut Jate Hain Abhi Kajil Ki Dori Surkh Galon Tak Nahi Aai Zuban Datoon Talak Hai Zehr Piyalon Tak Naheen Aai Ibhi To Musk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai Ibhi Rodad-E-Beunwan Humaray Darmian He, Duniyan Walloon Tak Nahin Aai Kaho To Lout Jatan Han Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han Abhi Nazdeek Hain Ghar aur Manzil Door He Apni Mubada Nar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni Kaho To Lout Jatay Han Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han. Ye Rasta Piyar Ka Rasta, Rasan Ka Dar Ka Rasta, Bohat Dushwar He Jana Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana. Kaho To Lout Jatay Han Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han. Maray Baray Na Kuch Socho Mujhay To Sath Tumharay Amer Hounay Ki Hasrat He Mujhay Tay Ka...

Koe dundla sa ek chehra meri ankhon me rehta hay...

Samandar me utarta hun to ankhain beeg jati hay...

Tum se mari baat hoe te.....

Band le hath pe seeny pe saja lan tumko

Sochta hun ke usy nend bhi ati hoge....

Main hun tera khayal aur chand raat hay..

Apne ahsas se chu kar mujy sandul kar do

Tumhari yaad se har pal saja hua campus....

Mohabbat Ke Mosam

Mohabbat Ke Mosam Zamaane Ke Sab Mosamon Se Niraaley Bahar-O-Khizaan In Ki Sab Se Judaa Alag In Ka Sookha, Alag Hai Ghataa Mohabbat Ke Khitte Ki Aab-O-Hawa Mawra, In Anasir Se Jo Mosamon Ke Taghaiyur Ki Bunyaad Hain Yeh Zaman-O-Makaan Ke Kam-O-Besh Se Aese Aazad Hain Jese Subh-E-Azal Jese Shaam-E-Fanaa Shab-O-Roz-E-Aalam Ke Ahkaam Ko Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante! Zindagi Ki Musafat Ke Anjaam Ko Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante! Rifaaqat Ki Khushboo Se Khali Ho Jo Yeh Koi Aesa Manzar Nahi Dekhte, Wafa Ke Alawa Kisi Kaam Ko Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!

Sitaran jo damakty han kisi ke chashm e hairan me...

Dard kehta hay ke ghabra ke shab e furqat me

Dard kehta hay ke ghabra ke shab e furqat me Ah ban kar tari pehlu se nekal jaonga Muj ko samjao na sahir me ek din khud he Tokarain ka ke mohabbat me samnbal jaunga....

Abhi abhi wo gae han magar ye alum hay

Abhi abhi wo gae han magar ye alum hay buht dinon se wo jaisy nazar nahi aye kahi ye tark e taluq ke ebtida to nahi wo mj ko yaad khbi esqadar nahi aye ... 

انہیں میں جیتے انہیں بستیوں میں مر رہتے

انہیں میں جیتے انہیں بستیوں میں مر رہتے یہ چاہتے تھے مگر کس کے نام پر رہتے؟ پیمبروں سے زمینیں وفا نہیں کرتیں ہم ایسے کون تھے کہ اپنے گھر رہتے پرندے جاتے نہ جاتے پلٹ کے گھر اپنے پر اپنے ہم شجروں سے تو باخبر رہتے بس ایک خاک کا احسان ہے کہ خیر سے ہیں وگرنہ صورت خاشاک در بدر رہتے میرے کریم! جو تیری رضا، مگر اس بار برس گزر گئے شاخوں کو بے ثمر رہتے

یارو کہاں تلک محبت نبھاؤں میں

  یارو کہاں تلک محبت نبھاؤں میں دو مجھ کو بددعا کہ اسے بھول جاؤں میں دل تو جلاگیا ہے وہ شعلہ سا آدمی اب کس کو چھو کے ہاتھ اپنا جلاؤں میں سنتا ہوں اب کسی سے وفا کررہا ہے وہ اے زندگی خوشی سے کہیں مر نہ جاؤں میں اک شب بھی وصل کی نہ مرا ساتھ دے سکی عہد فراق آکہ تجھے آزماؤں میں بدنام میرے قتل سے تنہا تو ہی نہ ہو لا اپنی مہر بھی سر محضر لگاؤں میں اُس جیسا نام رکھ کے اگر آئے موت بھی ہنس کر اُسے قتیل گلے لگاؤں میں

Aaj gum sum hy jo barbad jazeeron jesi

  Aaj gum sum hy jo barbad jazeeron jesi us ki ankhon mein chamak thi kabi heeron jaisi kitny maghror paharon k badan chak hoay taiz kirnon ki jo barish hoi teeron jaisi jis ki yadon sy khiyalon k khazeny dehky uski soorat b lagi aaj faqeron jaisi chahtein lab pe, machalti hoi larki ki tarah hasratein ankh mein zindaan k aseeron jaisi ham ana mast, tahi dast bahut hain MOHSIN ye alag bat k adat hy ameeron jaisi...!!!

اس کا ہاتھ کتنا "سرد " تھا

جھے چاندنی رات کی وہ حسین گھڑی یاد ہے جب اس نے مرے ہاتھوں کو اپنے ہاتھ میں لے کر کہا تھا کہ جانتے ہو گرم ہاتھ وفا کی علامت ہوتی ہے میں اس کی یہ بات سن کر خوشی سے جھوم اٹھا تھا مگر آج شب تنہائی میں بیٹھا سوچ رہا ہوں کہ اس وقت اس کا ہاتھ کتنا "سرد " تھا

Azaab Apnay......

Azaab Apnay. bichartay lamhon ki jald baaz rut main jab usk honton ki narm chaoon mujhay judai ki dhoop de kr hawaas ki unglion se daman churaa rahi thi tamam rasmon tamam qasmon ki jalti shammain bujhaa rahi thi main uski aankhon main chor aaya tha khawab apnay wo khawab jinki tamazaton main "tamam sach tha" wo khawab takmeel e arzoo ki nishanian thay wo khawab meri wafa ki ujli kahanian thay main sochta hun k ab kabhi chandni main bheegi hui hawain jab uski aankhon se neend ka kuch khumaar' uskey badan ki khushboo se choor koi peyaam lain to main bhi mangon hisaab apnay main uski aankhon se muskura kr talab krun phir se khawab apnay main usko bheejon azaab apnay..!

Mere khuda mjy itna to motabar kar dy..

میرے خدا مجھے اتنا تو معتبر کر دے میں جِس مکان میں رہتا ہوں اس کو گھر کر دے یہ روشنی کے تعاقب میں بھاگتا ہوا دِن جو تھک گیا ہے تو اَب اس کو مختصر کر دے میں زندگی کی دعا مانگنے لگا ہُوں بہت جو ہوسکے تو دُعاؤں کے بے اثر کر دے ستارہ سحری ڈوبنے کو آیا ہے ذرا کوئی میرے سورج کو باخبر کر دے میری زمین، میرا آخری حوالہ ہے سو میں رہوں نہ رہوں اس کو بارور کر دے میں اپنے خواب سے کٹ کر جیوں تو میرا خُدا اُجاڑ دے میری مٹی کو در بدر کر دے

Bahar ban ke mjy chu gaya zamana bhi...

Kash tum se gela me lek skta

  Kash tum se gela me lek skta     khud ko tum se juda me lek skta tere kochy me jo awara banu           asi pagal sada me lek skta ............

Khuda ki itni bari kainat me me ne

  Khuda ki itni bari kainat me me ne Bus ek shakhs ko manga mjy wahi na mila Buht ajeeb hay ye qurbaton ki dori bhi wo mere sath raha aur mjy khbi na mila

wo dil ka bura na bewafa ta

وہ دل کا برا نہ بے وفا تھا بس مجھ سے یونہی بچھڑ گیا تھا لفظوں کی حدوں سے ماوراء تھا اب کس سے کہوں وہ شخص کیا تھا وہ میری غزل کا آئینہ تھا ہر شخص یہ بات جانتا تھا ہر سمت اُسی کا تذکرہ تھا ہر دل میں وہ جیسے بس رہا تھا میں اُس کی انا کا آسرا تھا وہ مجھ سے کبھی نہ روٹھتا تھا میں دھوپ کے بن میں جل رہا تھا وہ سایۂ ابر بن گیا تھا میں بانجھ رتوں کا آشنا تھا وہ موسمِ گُل کا ذائقہ تھا اک بار بچھڑ کے جب ملا تھا وہ مجھ سے لپٹ کے رو پڑا تھا کیا کچھ نہ اُسے کہا گیا تھا اُس نے تو لبوں کو سی لیا تھا وہ چاند کا ہمسفر تھا شائد راتوں کو تمام جاگتا تھا ہونٹوں میں گُلوں کی نرم خوشبو باتوں میں تو شہد گھولتا تھا کہنے کو جدا تھا مجھ سے لیکن وہ میری رگوں میں گونجتا تھا اُس نے جو کہا کیا وہ دل نے انکار کا کس میں حوصلہ تھا یوں دل میں تھی یاد اُس کی جیسے مسجد میں چراغ جل رہا تھا مت پوچھ حجاب کے قرینے وہ مجھ سے بھی کم ہی کُھل سکا تھا اُس دن مرا دل بھی تھا پریشاں وہ بھی میرے دل سے کچھ خفا تھا میں بھی تھا ڈرا ہوا سا لیکن رنگ اُس کا بھی کچھ اُڑا اُڑا تھا اک خوف سا ہجر کی رتوں کا دون...