Hawa thami thi zaroor lekin, Wo sham jaisay sisak rahi thi, K zard patton ko andhiyon ne, Ajib qissa suna dia tha, K jis ko sun k tamam pattay, Sisak rahay thay, bilak rahay thay, Janay kis sanihay k gham mein, Shajar jaron se ukhar chukay thay, Bohat talasha tha ham nay tumko, Har ek rasta, Har ek waadi, Har ek parbat, Har ek ghaati, Kahin se teri khabar na ayi, Ye keh k ham nay dil ko taala, Hawa thamay gi to dekh lain gey, Ham us k raston ko dhoond lain gey, Magar hamari ye khush khayali, Jo ham ko barbad kar gayi thi, Hawa thami thi zaroor lekin, Bari hi muddat guzar chuki thi, Hamaray baalon k jangalon mein, Sufaid chandi utar chuki thi, Falak pay taaray nahi rahay thay, Gulaab pyaray nahi rahay thay, Wo jin se basti thi dil ki Basti, Wo log saaray nahi rahay thay, Ye Almiya sab se baala’tar tha, K ham tumharay nahi rahay thay, K tum hamaray nahi rahay thay, Hawa thami thi zaroor lekin, Bari hi muddat guzar chuki thi